केंद्रीय कर्मचारियों की हुई मौज महंगाई भत्ते में 4% का इजाफा, कुल 50% DA हुआ कन्फर्म जानिए पूरी खबर

By Anjali Singh

Published On:

7th Pay Commission latest news

7th Pay Commission latest news:-hello! Ek achhi khabar hai ki kendra sarkar ke karmachariyon ke liye mahangai bhatta badh gaya hai. Ab karmachariyon ko 50% mahangai bhatta milega. Shram Bureau ne AICPI index ke adhar par isse confirm kiya hai.

Batayein ki index ke mutabiq 50% mahangai bhatta milna tay ho gaya hai. Haalanki, index mein thodi si ghatavat darj ki gayi hai. Lekin iske bawajood mahangai bhatta par koi asar nahi pada hai. Mahangai bhatta ka ankda 50% se zyada ho gaya hai. Ye chouthi bar hai jab mahangai bhatta 4% badha hai.

Batayein ki kendra sarkar ke karmachariyon ko ab 1 January 2024 se 50% ki dar se mahangai bhatta milega. December AICPI index data se ye baat saaf ho gayi hai. Haalanki, December mein soochank 0.3 ank girkar 138.8 ank par aa gaya. Lekin, isse mahangai bhatta ke ankdon mein koi khaas farq nahi pada. Ummeed ke mutabiq mahangai bhatta 50% ke paar pahunch gaya hai. Ab mahangai bhatta 50.28% ho gaya hai. Lekin, sarkari dashamlav 0.50 se neeche hai, isliye 50% hi antim hoga. Ismein 4% ki badhotri tay hai.

Badhe hue DA Ka Kab se Milega Fayda ?

yeh verify ho gaya hai ki mahangai bhatta ab 50% ki dar se milega, lekin iski ghoshna abhi nahi hui hai. Kyunki chunavi saal hai, isse pehle hi Lok Sabha chunav ki tareekhon ka ilaan hone par ise manzoori mil sakti hai. Kendriya Cabinet ne mahangai bhatta badhane ka nirnay liya hai.

Samanya roop se sarkar March ke aaspaas Holi ke mauke par iski ghoshna karti hai. Is baar bhi yeh March mein hi manzoori pa sakta hai. Tab tak, karmachariyon ko yeh labh 1 January 2024 se milega. Iska matlab hai ki naya mahangai bhatta 1 January se hi lagu hoga. Iske alawa, March ki salary mein January aur February ke arrear ke saath iska bhugtan sambhav hai.

50 %Ke Baad DA 0 Ho Jaayega 

yeh sahi hai ki kendra sarkar ke karmachariyon ko January 2024 se 50% Dearness Allowance (DA) milega. Lekin, iske baad mahangai bhatta shunya ho jayega. Iske baad mahangai bhattay ki ganana 0 se shuru hogi. Karmachariyon ke mool vetan mein 50% DA joda jayega. Maan lijiye agar kisi karmachari ka nyuntam mool vetan uske vetan band ke anusar 18,000 rupees hai, toh 9,000 rupees ka 50 percent uske vetan mein joda jayega.

Kyu 0 Ho Jayega Mahngayi Bhatta?

Jab bhi koi naya vetanmaan lagu hota hai toh karmachariyon ko milne wala Dearness Allowance (DA) mool vetan mein jud jata hai. Jankaron ka kehna hai ki niyamatah karmachariyon ko milne wala 100% DA mool vetan mein judna chahiye, lekin aisa sambhav nahi hai. Arthik sthiti aadhe aati hai.

Halanki, aisa saal 2016 mein kiya gaya tha. Isse pehle saal 2006 mein jab chhatha vetanmaan aaya tha, us waqt paanchva vetanmaan mein December tak 187% DA diya ja raha tha. Sampurn DA ko mool vetan mein mila diya gaya. Isliye chhathe vetanmaan ka gunank 1.87 hua. Fir naya pay band aur naya grade pay bhi banaya gaya. Lekin ise deliver karne mein teen saal lag gaye.

Disclaimer: Dosto, aaj ki is article mein humne aap sabko 7th Pay Commission latest news se judi har ek jankari dene ki koshish ki hai. Ummeed karte hai ki yeh article aap sabko bahut pasand aaya hoga. Halaanki, main aap sabhi ko jaankari ke liye avagat karadoon ki yeh saari jaankari internet se li gayi hai. Agar kisi prakar ki galti paayi jaati hai toh hamara ya niji website jimmedar nahi maana jayega.

Read More:-

  1. Now Skill India Free Certificate: सभी बेरोजगार युवाओं को सरकार दे रही है, रोजगार के लिए फ्री सर्टिफिकेट

  2. Bihar Cycle Poshak Yojana 2023-24: डेढ़ करोड़ छात्र-छात्राओं को साइकिल-पोशाक की राशि एक हफ्ते में मिलेगी

Anjali Singh

Main Ek Professional Content writer Hu Ab Tak Maine Bahut Tarike Ke blog Par Aartical Likha Hai Mera Content Bahut Hi Researched Aur Bahut Hi Easy Language Me Hota Hai Jo Aapko Asani Se Samjh Me Aa jaayega Aapke Liye Main Sabhi types Ka Knowledge Dene ka Apne ends Se try Karungi Jaise ki Internet ,Goverments Schemes,Jobs Update,Result,And daily Trending News Scholarship Update

Leave a Comment