Google Pay Ki Nayi Suvidha: Google Pay Ne 2023 me Sabse Badi Khushkhabri : Google pay ki nayi suvidha me adhar ko kare google pay se link Is samay kafi aise log Hain Jo ki online upi payment ka upyog karte Hain khastaur per upi payment ke liye debit card ki avashyakta hoti hai lekin ab Google ne kafi badi Rahat ko de kar Ek jarurat ko khatm kar diya hai ab aap apne Aadhar number se bhi Google per access kar sakte hain aur upi payment ka upyog kar sakte hain.
Chaliye ham aapko setting karne ka pura Tarika batate Hain iske liye aapko hamare is artical ko ant Tak padhna hoga aur samajhna hoga ki kaise aap Google pay mein Aadhar number ko set karke apna upi transaction bhavishya mein kar payenge Bina kisi debit card ke.
Google Pay Ki Nayi Suvidha
Aapko Bata de ki Google pay ki nayi suvidha Google pay Aadhar number se upi bhugtan karne ke liye UIDAI ke sath partnership ki hai.
Jee Haan doston aapne bilkul sahi padha hai aur aapko yeh bhi batate chalein ki is prakar ki suvidha filhal koi bhi upi payment app nahin de raha hai kisi bhi upi payment app ke liye ATM card number aur pin ki avashyakta hoti hai lekin iske bajay ab sirf Aadhar ke number se hi Kaam chal jaega.
Google Pay Ki Nayi Suvidha : Bank se kaise hoga link :
Google Pay Ne 2023 me Sabse Badi Khushkhabri me Aadhar number se Google pay ka istemal karne ke liye Bank khate se aapka mobile number link hona hona chahie aur Aadhar se bhi mobile number link hona chahie Google pay ki yah nai suvidha sirf kuchh hi bankon ke liye hai abhi sari bankon ke liye yah seva uplabdh nahin hai (bhavishya mein isko sabhi banko ke liye uplabdh karaya jayega) per fir bhi jitni hai utani bhi bahut hai kyunki yah seva abhi tak kisi bhi upi payment app mein nahin aayi hai.
Google Pay Ki Nayi Suvidha : Jane kaise karna G pay use :
Chaliye ham aapko setting karne ka pura Tarika batate Hain iske liye aapko hamare is artical ko ant Tak padhna hoga aur samajhna hoga ki kaise aap Google pay mein Aadhar number ko set karke apna upi transaction bhavishya mein kar payenge Bina kisi debit card ke. Google pay me Aadhar number ko link karne ya setting karne ke liye sabse pahle Play Store (direct link) ya fir Apple app Store se Google pay Ko download Karen iske baad setting wale option per jaaye Jahan per aapko debit card ke alava number ka bhi option milega iske baad Aadhar wale option per click Karen Ek OTP generate hoga.
Jisko dalne ke bad Ek pin number poochha jaega jo ki Google pay app ke liye hoga yani ki aap jab bhi Google pay ke dwara koi bhugtan karenge to aapko 6 number ka pin dalna hai is pin number Ko yad rakhna hai bhavishya ke liye bhi kyunki is pin ko dalne ke bad hi aapka koi bhi payment successful hoga jaise ki ham normal payment karte Hain. Ab pin set karne ke baad aap jis Bank khate se aapka aadhar number link hoga vah khata Google pay paer dikhne lagega ab aap Google pay ka aaram se istemal kar sakte hain.
Google Pay Se Personal Loan Kaise Le:- Quick Link
Direct Link To Download | Click Here |
Official Website | Click Here |
WhatsApp Group | Click Here |
Home Page | Click Here |
Telegram Group | Click Here |
FAQ’s About Google Pay Aadhar Number Linking:
1.Google pay me Aadhar number link karne ke liye kye conditions hain?
Answer- Google pay me Aadhar number link karne ke liye sabse phle aapka khata mobile no. Se link hona chahiye aur dusra aadhar number bhi mobile number se link hona chahiye.
2. Kya ye option sabhi banko ke liye uplabdh hai?
Nhi,Abhi filhal ye seva sirf kuch banko ke liye hi uplabdh hai par aane vale kuch vakt me isko sabhi banko ke liye uplabdh karaya jayega.