Bihar Board 11th Admission Merit List 2024 Download Link (Today Out) – Check Inter Merit List, Enrollment Date

Bihar Board 11th Admission Merit List 2024:-Bihar School Examination Board (BSEB) ne Class 11th (Intermediate) Admission ke liye online aavedan maange the. Ab ve sabhi abhyaarthi jo class 11th mein naamankan ke liye online aavedan kiye hain, apni Merit List ka intezaar kar rahe hain. Aap sabhi ko bata dein ki ab aapka intezaar khatam hoga. Sabhi students merit list jari hone ke baad Bihar Board ke official website par jaakar dekh sakte hain.

Bihar Board 11th Admission Merit List 2024

Aaj ke is article mein hum aapko Bihar Board 11th Admission Merit List 2024 ke baare mein batane wale hain. Agar aap bhi Bihar Board 11th class mein naamankan lena chahte hain, to aapke liye yeh lekh bahut mahatvapurn hai. Isse ant tak dhyan se padhein.

Bihar Board 11th Admission Merit List 2024: Overview

Name of BoardBihar School Examination Board (BSEB)
ClassClass 11th (Intermediate)
Session2024-26
Article NameBihar Board 11th Admission Merit List 2024
Article CategoryMerit List
Merit List Release DateAnnounced Soon
Merit List Download ModeOnline
OFSS Bihar 1st Merit List Release Date08 July 2024
Admission on the basis of 1st Merit08 July 2024 to 14 July 2024
Official Websitewww.ofssbihar.org

Bihar Board 11th Merit List 2024

Aaj ke is article mein hum aap sabhi abhyaarthi jo class 11th mein naamankan lena chahte hain, un sabhi ka hardik swagat karte hain. Hum aapko Bihar Board 11th Merit List 2024 ke baare mein sahi aur vistaar se jankari denge. Aap sabhi students ko bata dein ki aap apne ghar baithe online madhyam se Merit List Download kar sakte hain.

Important Dates of Ofss Bihar 11th Admission 2024

ActivitiesDates
Bihar Board 11th Admission 2024 Date11 April 2024
Bihar Board 11th Admission 2024 Last Date26 April 2024
OFSS Bihar 1st Merit List Release Date08 July 2024
Admission on the basis of 1st Merit08 July 2024 to 14 July 2024
Slide up Process08 July 2024 to 14 July 2024
Spot Admission and Enrollment Process EndedAnnounced Soon
Class 11th beginAnnounced Soon

Inter Satra 2024 – 2025 ke 11vi Kaksha mein Daakhila Hetu Anivarya Nirdesh

  1. Rajya ke sarkari vidyalayon se vaarshik madhyamik pariksha (10vi kaksha ki pariksha), 2024 mein uttirn vidyarthiyon ka class 11vi mein daakhila usi vidyalaya mein liya jaayega jahan se vaarshik madhyamik (class 10vi) ki pariksha uttirn hue hain.
  2. Vishesh paristhiti mein yadi koi vidyarthi apne mool vidyalaya se doosre vidyalaya mein naamankan ke liye jaana chahta hai, to sambandhit jila adhikari dwara pratisthakrit vidyalaya sthanantran pramaan patra (SLC) ke aadhar par spot admission ke dauraan unka naamankan liya jaayega.
  3. Sarkari vidyalayon mein naamankan ke liye aavashyakta anusar sankay nirdharan kiya jaayega jiske liye vishaywar shikshakon ki vyavastha shiksha vibhag, Patna dwara ki jaayegi.
  4. Gair sarkari inter stariya shikshan sansthanon mein class 11vi mein naamankan hetu samiti dwara apnaayi gayi purv ki vyavastha yathavat rahegi.
  5. Dinank 26 April, 2024 tak OFSS Website ke madhyam se online aavedan karne wale sabhi vidyarthiyon ko suchit kiya jaata hai ki ve purv mein diye gaye sankay ke vikalp mein 08 June, 2024 se 11 June, 2024 tak badlav kar sakte hain.

Merit List Jari Hone ke Baad Kya Karen?

Yadi aapka naam Bihar Board dwara jari ki gayi pehli merit list mein aata hai, to aapko us school mein naamankan prakriya ko poora karna hoga jise aapko aavantit kiya gaya hai. Ismein aavashyak dastavej jama karna aur nirdharit shulk ka bhugtan karna hoga.

Required Documents for BSEB 11th Admission 2024

  1. 10vi ki Marksheet
  2. 10vi ka Sthanantran Pramaan Patra
  3. Passport Size Photo
  4. Janm Pramaan Patra
  5. Pata ka Pramaan
  6. Jaati Pramaan Patra
  7. Aay Pramaan Patra
  8. Abhibhavak ka Pehchaan Patra
  9. Chalu Mobile Number aur Email ID

How to Download Bihar Board Class 11th Admission Merit List 2024?

  1. Visit Official Website:
    • Sabse pehle aapko OFSS Bihar ki official website par jaana hoga.
  2. Find Merit List Option:
    • Website ke homepage par Intermediate 2024 Merit List (First Selection) ka option milega, us par click karein.
  3. Enter Application Number:
    • Click karne ke baad naya page open hoga. Ab aapko aavedan form bharte samay prapt Application No. ko bharna hoga.
  4. Download Merit List:
    • Merit List Pdf download karein aur diye gaye school mein jaakar antim tithi se pehle 11vi mein naamankan karva sakte hain.

Conclusion

Aaj ke is article mein humne aapko Bihar Board 11th Admission Merit List 2024 ke baare mein sabhi jankari sahi aur vistaar se batayi hai. Aap sabhi abhyaarthi, Bihar Board ki merit list jari hone ke baad, official website par jaakar bataye gaye process ko follow karke apni BSEB Inter Merit List 2024 download kar sakte hain.

Agar aapko yeh article pasand aaya hai, to ise apne doston ke sath share zaroor karein taaki ve bhi apni merit list download kar payein. Is article se sambandhit koi prashna ho to aap niche comment section mein comment karke pooch sakte hain।

Important Link

Change College & Stream Online
Click Here
Full New NotificationClick Here
Download Intimation LetterClick Here
1st Merit List Check (Student Login)Click Here (Soon)
Official WebsiteClick Here
Telegram ChannelClick Here
HomepageClick Here

I am a software developer with a vast portfolio of websites and web/mobile applications. In addition to my development work, I have ventured into the world of blogging and digital content creation. I bring a fresh perspective and creativity to my blogging endeavors, always striving for innovative ideas. My content is characterized by thorough research and a commitment to making complex topics easy to understand.

Sharing Is Caring:

Leave a Comment