Infinix Smart 8 HD Price in India:-Infinix ka latest smartphone, Infinix Smart 8 HD, bahut hi kam kimat par khareeda ja sakta hai. Ye phone 8 December ko Bharatiya market mein launch hua tha. Flipkart ya Amazon ki website par is phone ko le sakte hain. Agar aap bhi kam budget mein ek accha feature wala phone dhoondh rahe hain, toh Infinix Smart 8 HD ki taraf ja sakte hain. Aaj ke is series mein aapko Infinix Smart 8 HD Price in India ke baare mein aur is phone ke saare specifications ke baare mein jaankari mil jayegi.
Infinix Smart 8 HD Price in India
Infinix ke is latest smartphone, Infinix Smart 8 HD ke kimaton ke baare mein baat karein, toh Flipkart ki website par iska price 6,299 rupaye rakha gaya hai. Lekin agar aapke paas Axis Bank ka account hai, toh is bank ke credit card se khareedne par aapko 315 rupaye ka turant discount prapt ho jayega. Aur aapke 315 rupaye bach jaayenge.
Infinix Smart 8 HD Specification
Infinix Smart 8 HD Android version 13 ke saath uplabdh hai. Kam budget mein hi is phone mein kai acche features mil rahe hain, jaise 90 Hz ka refresh rate, USB Type-C charging port, aur bhi bahut kuch jo niche table mein bataye gaye hain.
Specifications | Details |
---|---|
Processor | Unisoc T606 Octa core (1.6 GHz, Dual Core + 1.6 GHz, Hexa Core) |
RAM | 4 GB |
Internal Storage | 128 GB |
Display | 6.6 inches; IPS LCD |
Resolution | 720×1612 Px (267 PPI) |
Refresh Rate | 90 Hz |
Display Features | Bezel-less, Punch-Hole Display |
Rear Camera | 13 MP Wide Angle Primary Camera, 0.3 MP Depth Camera, Ring LED, HD @30fps Video Recording |
Front Camera | 8 MP |
Battery Capacity | 5000 mAh |
Charging | 10W Charging, USB Type-C Port |
Operating System | Android v13 |
SIM Slots | SIM1: Nano, SIM2: Nano |
5G Support | Not Supported in India |
Expandable Storage | Expandable up to 512 GB |
Infinix Smart 8 HD Display
Infinix Smart 8 HD Camera
Infinix Smart 8 HD Processor
Processor ki baat karein, toh budget ke anusar Infinix Smart 8 HD mein company ne processor kaafi badiya lagaya hai. Is phone mein Unisoc T606 ka processor uplabdh hai. Halaanki, ye processor 5G network ko support nahi karta hai. Ismein sirf 4G VoLTE connectivity milegi.
Infinix Smart 8 HD Battery & Charger
Infinix Smart 8 HD mein battery aur charger ki baat ki jaaye, toh ismein aapko 5000 mAh ka bada battery life aur 10W ka normal charger USB Type-C port ke saath dekhne ko mil jayega. Is phone ko pura 100% charge hone mein lagbhag 2 ghante se lekar 2.50 ghante ka samay lag sakta hai. Battery backup ki baat karein, toh full charge par is phone ko 7 ghante se lekar 8 ghante tak istemaal kar sakte hain.
Infinix Smart 8 HD Competitors
Infinix ke is naye smartphone, Infinix Smart 8 HD ka muqabla Bharatiya market mein Tecno Spark Go 2024, Tecno Pop 8, aur Itel A70 se hai. Ye teeno smartphone, isi budget mein launch hue hain aur features bhi lagbhag barabar hi hain.
Aaj ke is lekh mein aapko Infinix Smart 8 HD Price in India ke baare mein jaankari di gayi. Hum aasha karte hain ki is lekh ko padhkar aapko is phone se judi sabhi jaankari mil gayi hogi. Agar ye lekh aapko pasand aaya toh isko social media par share zaroor kariye, taaki aur logon ko bhi iski jaankari ho. Aur isiti tarah smartphone ke khabaron ko padhne ke liye Taazatime se jude rahiye.
Read More:-
HONOR X8b Launch Date in India, आ रहा है HONOR का 108MP कैमरे वाला स्मार्टफोन, जानें कब होगा लॉन्च
OnePlus 12 Release Date, iPhone का नींद उड़ाने आ रहा है OnePlus का धांसू स्मार्टफोन, देखें फीचर्स
Tecno Phantom V Fold 5G, इतना तगड़ा फीचर किसी फोन, में नहीं होगा देखें विशेषताएं
Top 5 Best Mobile Stands in India: भारत में सर्वोच्च 5 सर्वश्रेष्ठ मोबाइल स्टैंड
Motorola Edge 40 vs Motorola Moto G73: बाप रे! ये कैसे पावरफूल हुआ?