Sahara India Refund Portal:-Kya aap ka bhi paisa Sahara India mein atka hua hai to aapke liye ek bahut hi achhi khabar hai. Desh ke ghar mantri Amit Shah dwara aaj Sahara India Refund Portal ko launch kiya gaya hai, jismein aap aavedan karke apna atka hua paisa wapas pa sakte hain. Aapki jaankari ke liye bata dein ki ghar mantri Amit Shah ne aaj 18 July ko Sahara India Refund Portal ki shuruat kar di hai. Ab aap apna fasa hua paisa is portal par aavedan karke dobara se praapt kar payenge.Sahara India Refund Portal
Agar aap bhi Sahara India mein apna atka hua paisa wapas paana chahte hain to iske liye aavedan form bhar sakte hain. Hum aap ko vistaar purvak is article mein iske baare mein jaankari dene waale hain. Is article ke ant mein main aapko kuch quick link bhi pradaan karunga, jinka upyog karke aap aasaani se Sahara India Refund Portal par refund ke liye aavedan kar payenge.
Sahara India Refund Portal Highlights
Article Ka Name | Sahara India Refund Portal |
Article Ka Date | 20 July 2023 |
Company Name | Sahara India |
Category | Finance |
Online Portal Name | mocrefund.crcs.gov.in |
Portal Launch Date | 18 July 2023 |
Scam | Online Money Fraud |
Given Time To Sahara For Return Investor Money | 4 Months |
Sahara Chief Name | Subrata Roy |
Money Return In | Same Account Number (Given By Investor) |
Official Website | Click Here |
Logon ko milega atka hua paisa – Sahara India Refund Portal
Aap sabhi Sahara India niveshakon ka hamare portal par swagat hai. Aap sabhi ke liye khushkhabri hai ki aap Sahara India mein apna fasa hua paisa ab wapas praapt kar sakte hain. Iske liye hum aapko neeche step by step process bata rahe hain jise aap ko dhyaan purvak follow karna hoga.
Aapki jaankari ke liye bata dein ki Sahara India se apna paisa wapas paane ke liye aavedan karne hetu aapko online process ko follow karna hoga. Iske liye aapko kuch taiyaari pehle se hi kar leni hai jiske baare mein hum aapko neeche bata rahe hain. Neeche hum vistaarpurvak step by step process aapko bataayenge jise follow karke aap aasaani se Sahara India Refund Portal par aavedan kar payenge.
Kise milega atka hua paisa wapas – Sahara India Refund Portal
Aapko yeh jaanna bahut jaroori hai ki Sahara India mein jinhone investment kiya tha, sarkaar ki taraf se unke liye naya portal launch kar diya gaya hai. Jismein aap aavedan karke Sahara India ki kisi bhi scheme mein atka hua paisa wapas praapt kar sakte hain.
Shuruati stage mein neeche hum aapko chaar Sahara India ki scheme bata rahe hain jismein atka hua logon ka paisa unhen wapas milna shuru ho gaya hai. Aavedan karne ke lagbhag 45 din ke andar aapko atka hua paisa wapas mil jaayega. Aapko bata dein ki Sahara India mein Bharat ke lagbhag 10 crore logon ka paisa atka hua hai.
- Sahara Credit Cooperative Society Limited
- Stars Multipurpose Cooperative Society
- Hamara India Credit Cooperative Society Limited
- Saharayan Universal Multipurpose Society Limited
How to Apply on Sahara India Refund Portal
Atka hua paisa wapas paane ke liye hum aapko neeche step by step process bata rahe hain, jise aap ko dhyaan purvak follow karna hoga. Tabhi aapko yeh atka hua paisa wapas mil paayega.
- Agar aapka paisa atka hua hai to sabse pehle aapko naye launch hue adhikaarik portal par visit karna hoga.
- Yahaan par home page par aapko jamaakarta panjeekaran ka vikalp nazar aayega us par click karein.
- Uske baad aapko yahaan par aadhaar number aur aadhaar se juda hua mobile number darj karna hai.
- Uske baad aapko OTP praapt karein ki vikalp par click karna hai jisse aapko OTP milega Aapko yeh OTP verify karna hai.
- Registration poora hone ke baad aapko jamaakarta login ke vikalp par click karna hai.
- Iske baad aapko apne aadhaar card ke antim 4 anka aur mobile number darj karke OTP praapt karna hai.
- Aapko niyam aur sharton ko padhkar main sahmat hoon ki box par click karna hai.
- Yahaan par aapko apna bank ka naam aur janmtithi nazar aayegi. Uske baad aapko deposit certificate ke saath claim request form ko bharna hoga.
- Is form mein aapse kai prakaar ki jaankari poochi jaayegi jo aap ko dhyaan purvak darj karna hai.
- Sabhi jaankari darj karne ke baad verification ke baad aapko portal se claim letter download karna hoga.
- Is claim letter par aapko apna passport size photo chipkaana hai aur apne signature karne hain.
- Iske baad ek claim letter ko scan karke aapko portal par upload karna hai.
- Yeh process complete karne ke baad aapke mobile par successful ka confirmation message aa jaayega.
- Iske baad aapko 45 din tak intezaar karna hai. 45 din ke bheetar aapke account mein Sahara India mein atka hua paisa wapas mil jaayega.
Sahara India Refund Portal:- Quick Link
Direct one Click Apply | Click Here |
Direct Link To Apply | Register || Login |
New Portal Official Website | Click Here |
Direct Link To Download Refund Application Form | Click Here |
WhatsApp Group | Click Here |
Home Page | Click Here |
Telegram Group | Click Here |
Summary Sahara India desh ki jaani-maani company hai, jismein kuch saalon pehle bahut saare bharatiyon ne invest kiya tha. Lekin company kisi vajah se doob gayi thi jisse logon ka paisa bhi doob gaya tha. Lekin ab sarkaar ne logon ko paisa wapas dilaane ke liye naya portal launch kar diya hai. Maine aapko bataya hai ki kaise aap sarkaar dwara launch kie gae Sahara India Refund Portal par aavedan kar sakte hain.
Ummid karte hain ki aapko hamare dwara di gayi yeh jaankari pasand aayi hogi aur aap is jaankari ka laabh uthaakar Sahara India se apna refund praapt karne mein safal honge. Aisi hi jaankari ke liye niyamit roop se hamari website par visit karte rahein.