Aaj sona ka bhav:-Aam nagrik, jinke intezaar mein the aur jo sona khareedne waale logon ke sir par mahangai ki maar thi, aise mein achanak aaj sona sasta ho gaya hai. Aaj sonay ki keemat mein kaafi giravat dekhne ko mili hai, lagatar doosre din gold ki keemat mein bhi giraavat dekhne ko mili. Global market mein bhi sona kaafi had tak gir gaya hai, aur yeh asar aaj kahi na kahi gold ki rate par bhi dikh raha hai. Ghar ke bazaar mein bhi sonay ka daam gir gaya hai, Delhi Sarafa bazaar mein gold ka bhav 63500 close hua tha.
Dilli mein sonay ki rate ki baat karein toh 420 rupaye ki giravat ke saath 63,550 rupaye prati 10 gram raha hai. Jabki pichhle karo-bar mein 17 mein sona 63,970 rupaye prati 10 gram par close hua tha. Aaj ke din sonay ki kimat kaafi gir gayi hai, aur ho sakta hai ki aane wale samay mein bhi sonay ka daam mein giravat aa jaaye.
Chandi Me Aaye 1900 Rupye Ki Girawat
Agar hum chandi ki keematon ki baat karein toh chandi mein bhi kaafi giravat dekhne ko mili hai. 1900 ki bhaari giravat ke saath chandi ki keemat 76,900 rupaye prati kilo par band ho chuki hai. Isse pichhle karo-bar ke session mein bhi 78,800 prati kilo par band hui thi, yaani ki 1900 rupaye ki bhaari giravat chandi mein dekhi gayi hai.
Expert Ki Ray Jarur Jane?
Expert ki ray mane toh sabse bade expert Soumil Gandhi ne kaha hai ki videshi bazaaron mein mandi ke karan Delhi bazaar mein bhi sone ki keemat mein giravat aayi hai. Vahi (24 karat) 420 rupaye ki giravat ke saath 63,550 rupaye prati 10 gram par karobar kar rahi hai. International market mein sona kaafi gir chuka hai, yaani ki 2,042 prati ounce. Chandi mein bhi kafi antarraashtreey bazaaron mein sona aur chandi ki keematon mein giravat dekhne ko mili hai.
Source | Internet |
MCX Par Jane Sone Chandi Ka Keemat Kya Hai?Jane
Multi Commodity Exchange par gold ka bhav bhi 0.63% badhat ke saath 62,587 rupaye prati 10 gram par pahunch gaya hai. Isi samay, chandi ki bhi kimat kafi kam hui hai, aur tumko bata du ki 0.52% ki giravat chandi mein dekhne ko mili hai. Itni giravat ke saath chandi ki kimat ek aur 13,958 prati kilogram rahi hai. Market experts ka manna hai ki aane wale samay mein chandi aur sone ka daam aur bhi girne wala hai. Aise mein aaj ke din antarraashtreey bazaar ka asar dekhne ko mila hai, jisse sone aur chandi ki kimat mein kaafi giravat aa gayi hai.