Mukhymantri Uchch Shiksha Chhaatravrti Yojana 2023 मुख्यमंत्री उच्च शिक्षा छात्रवृति योजना के लिए नोटिफिकेशन जारी, ऑनलाइन आवेदन 1 जुलाई से शुरू

Mukhymantri Uchch Shiksha Chhaatravrti Yojana 2023:-Mukhyamantri Uchch Shiksha Chhaatravrti Yojana ke liye notification jari, online aavedan 1 July se shuru: Ayuktaalay College Shiksha Rajasthan, Jaipur dwara Mukhymantri Uchch Shiksha Chhaatravrti Yojana 2023 ka notification jari kar diya hai. Mukhymantri Uchch Shiksha Chhaatravrti Yojana 2023 ke liye online aavedan 1 July se 31 July 2023 tak kar sakte hain. Vidhyarthi Mukhymantri Uchch Shiksha Chhaatravrti Yojana 2023 ke liye SSO portal par SSO ID se aavedan kar sakte hain. Mukhyamantri Uchch Shiksha Chhaatravrti Yojana 2023 ke liye online aavedan karne ki process aur official notification niche uplabdh karwa diya hai.

Mukhyamantri Uchch Shiksha Chhatravriti Yojana 2023 ke liye yogya aur ichhuk abhyarthi apne jan aadhar card ki sahayata se SSO ID login kar aavedan kar sakte hain. Mukhyamantri Uchch Shiksha Chhatravriti Yojana 2023 ke liye online aavedan 1 July se 31 July 2023 tak bhar sakte hain.

Mukhymantri Uchch Shiksha Chhaatravrti Yojana 2023 Highlights

Plan NameChief Minister Higher Education Scholarship Scheme 2023-24
Launched ByRajasthan State Government
State NameRajasthan
BeneficiariesStudents of the state
ObjectiveProvide free scooters
Application ModeOnline
Start Date of ApplicationJuly 1, 2023
End Date of ApplicationJuly 31, 2023
Official Websitehte.rajasthan.gov.in

 

Mukhyamantri Uchch Shiksha Chhaatravrti Yojana 2023 Notification 

Rajasthan Higher Education Scholarship Yojana 2023, Mukhymantri Uchch Shiksha Chhatravriti Yojana 2023, Mukhymantri Uchch Shiksha Chhatravriti Yojana 2023 Application Form, Mukhymantri Uchch Shiksha Chhatravriti Yojana 2023 Online Apply Kaise Kare, Mukhymantri Uchch Shiksha Chhatravriti Yojana 2023 Educational Qualification, Mukhymantri Uchch Shiksha Chhaatravrti Yojana 2023 Last Date, Rajasthan Mukhyamantri Uch Siksha Chatravriti Yojana 2023 Apply Online form Date Rajasthan Mukhyamantri Uchch Shiksha Chhaatravrti Yojana 2023-24 ke liye online aavedan 1 July se 31 July 2023 tak kie ja sakte hain.

Mukhyamantri Uchch Shiksha Chhaatravrti Yojana 2023 ke online aavedan hetu official notification jari kar diya gaya hai. Official notification download karne ka direct link niche uplabdh karwa diya gaya hai. Rajasthan ke aise bahut se chhatra aur chhatraen hain jo uchch shiksha prapt karna chahte hain. Lekin arthik sthiti kamzor hone ke karan uchch shiksha prapt nahi kar pate. Aise chhatra aur chhatraon ko ₹5000 chhaatravrti pradan ki jayegi. Mukhyamantri Uch Siksha Chatravriti Yojana Rajasthan 2023 ki vistrit jankari ke liye official notification aur adhikarik website ko dekhen.

Mukhymantri Uchch Shiksha Chhaatravrti Yojana 2023
Mukhymantri Uchch Shiksha Chhaatravrti Yojana 2023

Mukhyamantri Uchch Shiksha Chhaatravrti Yojana 2023 form ka  Date

Rajasthan Mukhyamantri Uchch Shiksha Chhaatravrti Yojana ka uddeshya alp aay varg ke pratibhavan chhatra/ chhatraon ko uchch shiksha prapt karne hetu arthik sahayata pradan karna hai. Mukhyamantri Uch Siksha Chatravriti Yojana Rajasthan 2023 alp aay varg ke bachhon me shiksha ka star badhane evam sahayata pradan karne ke uddeshya se prarambh ki gayi hai. Mukhyamantri Uchch Shiksha Chhaatravrti Yojana 2023 ke liye online aavedan 1 July 2023 se shuru ho gaye hain. Mukhyamantri Uchch Shiksha Chhaatravrti Yojana 2023 ke liye online aavedan ki antim tithi 31 July 2023 tak rakhi gayi hai.

Mukhyamantri Uchch Shiksha Chhaatravrti Yojana 2023 Eligibility

Mukhyamantri Uchch Shiksha Chhatravriti Yojana 2023 ke liye aavedak ke pas nimnlikhit yogyata honi chahie.

  • Abhyarthi Rajasthan ka mool nivasi hona chahie.
  •  Jinhone Rajasthan Madhyamik Shiksha Board Ajmer se 12vi ki pariksha is varsh nyuntam 60% ankon se uttirn ki ho.
  •  Jinke mata-pita ya abhibhavak ki varshik aay 2 lakh 50 hazar rupee tak ho.
  • Jo vidyarthi Rajasthan ki kisi bhi rajya athva gair rajkiya college uch shiksha sansthan me niyamit rup se adhyanrat ho.
  • Vidyarthi ko Bharat Sarkar ya Rajya Sarkar dwara anya kisi chhaatravrti ka labh nahi mil raha ho.
  •  Rajasthan chhaatravrti yojana ka labh lene ke liye aavedak ke pas apna ek bank khata hona avashyak hai.
  • Is bank khate me chhaatravrti ki rashi DBT ke madhyam se transfer ki jayegi.

 Mukhyamantri Uchch Shiksha Chhaatravrti Yojana 2023 Required Documents

Mukhyamantri Uchch Shiksha Chhatravriti Yojana 2023 ke liye aavedan karne hetu vidyarthi ke pas nimnlikhit documents hone chahie.

  • Vidyarthi ki pichle varsh ki marksheet.
  • Vidyarthi ka photo evam signecher.
  •  Jan aadhar card aur aadhar card number.
  •  Shikshanik sansthan aur pathyakram ka naam, jisme vidyarthi vartaman me adhyan kar raha hai.
  •  Vartaman me adhyan kar rahe pathyakram ke shulk ki raseed aur vivaran.
  • Vidyarthi ka mool nivas praman patra. Jati praman patra. Parivar ka aay praman patra.
  •  Swayam ke bank khate ki jankari ya pasbuk.

Mukhyamantri Uch Siksha Chatravriti Yojana 2023 Benifits 

Mukhymantri Uchch Shiksha Chhatravriti Yojana 2023 ke liye important benifits is prakar hain.

  • Rajasthan Madhyamik Shiksha Board ki uchch madhyamik pariksha me variyata soochi me alp aay parivaron ke patra chhatra/chhatraon ko 500/-rupee prati mah jo ek varsh me 10 mah se adhik nahi hoga arthat adhiktam 5000/-rupee varshik bhugtan kiya javega.
  • Is yojana ke antargat uch shikshan sansthan me adhyanrat niyamit chhatra chhatraon ko adhiktam 5 varshon tak hi labhprad kiya jayega evan yadi vidyarthi dwara 5 varsh purv adhyan chhod diya jata hai to yeh labh purv tak hi manya hoga.
  • Divyang patra vidyarthiyon ko 1000 rupee prati mah hai jo 1 varsh me 10 mah se adhik nahi hoga arthat 10000 rupee varshik bhugtan kiya jayega, is hetu divyang chhatra ko chikitsa vibhag dwara gathit medical board se jari 40% divyang ka praman patra ki pramanit chhayaprti salangan karni hogi.

Mukhyamantri Uch Siksha Chatravriti Yojana 2023 Rajasthan Online Application Process

Rajasthan Mukhyamantri Uchch Shiksha Chhaatravrti Yojana 2023 ke liye online aavedan kaise karen. Rajasthan Mukhyamantri Uchch Shiksha Chhatravriti Yojana 2023 ke liye online aavedan karne ki process niche di gayi hai. Mukhyamantri Uchch Shiksha Chhatravriti Yojana 2023 ke liye niche di gayi step by step process ka palan karen.

  • Sabse pehle SSO portal par jana hai aur apni SSO ID ko login kar lena hai.
  • Yadi vidyarthi ke pas SSO ID nahi hai to pehle apne SSO ID ko banana hai aur fir login karna hai.
  • Iske baad vidyarthi ko apni SSO ID profile ko update kar lena hai. Yani vidyarthi ka naam, janm tithi, mobile number, jan aadhar ID, aadhar number aadi soochnaen update kar leni hain.
  • Iske baad abhyarthi ko vapas se apni SSO ID login karni hai. Iske baad aapko citizen app me scholarship icon par click karna hai.
  • Iske baad student option ka chayan karke ok par click karna hai.
  • Iske baad aapko jan aadhar card me jude sabhi sadasyon ke naam dikhai denge. Isme aavedan karne wale vidyarthi ka naam select karke ok par click karna hai.
  • Iske baad apna aadhar sankhya dalenge aur OTP se verify karenge.
  • iske baad aavedan form me poochi gayi sabhi jankari ko sahi-sahi bhar dena hai.
  • Iske baad mool nivas praman patra, aay praman patra upload karenge aur sabhi jankari bharne ke baad submit par click karenge.
  •  Iske baad aap vapas scholarship option me new application option par jayenge. Iske baad OTP se verify karenge.
  • Iske baad Rajasthan Mukhyamantri Uchch Shiksha Chhaatravrti Yojana 2023 ka chayan karenge.
  • Iske baad aavedan form me poochi gayi sabhi jankari sahi se bhar deni hai.
  • Aur antim varsh ki marksheet upload karni hai. Aapne barahvi kaksha ke baad first year me pravesh liya hai to uski fees payment ka vivaran bharenge aur shulk ki raseed upload karenge.
  • Aavedan form pura bharne ke baad iska print out nikal kar surakshit rakh lena hai.

Mukhyamantri Uchch Shiksha Chhaatravrti Yojana 2023 ki vistrit jankari official website ya apne principal se prapt kar sakte hain.

 

 

 

Mukhymantri Uchch Shiksha Chhaatravrti Yojana 2023 :- Quick  Link

Apply OnlineClick Here
Official NotificationClick Here
Official WebsitenewClick Here
WhatsApp Groupnew
Click Here
Home PagenewClick Here
Telegram GroupnewClick Here

FAQS Mukhymantri Uchch Shiksha Chhaatravrti Yojana 2023

1. What is the name of the scheme? The scheme is called the Chief Minister Higher Education Scholarship Scheme 2023.

2. Who launched the scheme? The scheme was launched by the Rajasthan State Government.

3. Which state is implementing the scheme? The scheme is being implemented in the state of Rajasthan.

4. Who are the beneficiaries of the scheme? The beneficiaries of the scheme are the students of the state.

5. What is the objective of the scheme? The objective of the scheme is to provide free scooters to the eligible students.

6. What is the mode of application? The mode of application for the scheme is online.

7. When does the application process start? The application process starts on July 1, 2023.

8. What is the last date for submitting the application? The last date for submitting the application is July 31, 2023.

9. What is the official website for the scheme? The official website for the scheme is hte.rajasthan.gov.in.

 

I am a software developer with a vast portfolio of websites and web/mobile applications. In addition to my development work, I have ventured into the world of blogging and digital content creation. I bring a fresh perspective and creativity to my blogging endeavors, always striving for innovative ideas. My content is characterized by thorough research and a commitment to making complex topics easy to understand.

Sharing Is Caring:

Leave a Comment