Pak VS AFG ODI 2023 : पाकिस्तान ने अफगानिस्तान को हराया तीन मैचों की वनडे सीरीज में 142 रन से हारी अफगानिस्तान Check Now

By Tausif Khan

Published On:

Pak VS AFG ODI 2023

Pak VS AFG ODI 2023

Afghanistan ke khilaf pahle mukabale mein Pakistan ne badi Jeet hasil ki hai. Teen Matchon ki one day series mein Pakistan ne 1-0 ki badhat hasil kar li hai ab dusra oneday 24 August ko khela jaega yah series shrilanka mein kheli ja rahi hai aur yah match Asia cup ki taiyari ke liye kheli ja rahi hai.

Pak VS AFG ODI 2023 

Pakistan aur Afghanistan ke bich teen matchon ki oneday series ka pahla mukabala shrilanka ke hambantota mein khela Gaya. Donon teamen is Asia Cup ki taiyari ke taur per Khel rahi hai Asia Cup ka aagaaj 30 August se hone ja rahi hai. Usse pahle yah oneday series khatm ho jayegi Pakistan ne pahle ballebaji karte hue 202 run ka Lakshya Diya jawab mein Afghanistan ki team 19.2 over mein 59 run per simat gayi is tarah Pakistan ne 142 ran ki badi Jeet hasil ki. Pakistan haraya afghanistan ko 142 run se.

IND vs IRE Dream 11 MatchClick Here

Pak VS AFG ODI 2023 Overview

Toss jitkar pahle ballebaji karne utari Pakistan ki team 47.1 over mein 201 run per simat gai. Pakistan ko pahla jhataka pahle over ki chauthi gend per Laga jab Fazal hak farooqi ne Fakhar Zaman Ko Mohammed Nabi ke hathon catch karanya . Iske dusre over mein mujeeb ur Rahman ne kaptan Babar Azam ko lbw out Kiya vah khata bhi nahin khol sake. Athven over mein Mujeeb ur rahman ne Mohammad Rizwan ko LBW out kiya. Vah 22 gendo me char  chauke  ki madad se 21 run banaa sake. Chautha Wicket Agha Salman ke roop mein gira Jo 29 gendon mein saat run banakar out hue. Unhen Rashid ne pavilion bheja.

Read Also :-  लग्जरी लुक और बेमिसाल फिचर्स के साथ इसको अपना बना लो सिर्फ 9,650 रुपए मंथली EMI पर

Imam Ul Hak ne ardhshatak jamaya vah 94 gendon mein do chauke ki madad se 61 ran banakar out hue iske alava Iftikhaar Ahmad ne shadab Khan ne 39 run, Osama Meer ne do run aur Shahin Afridi ne do run aur Harish Rauf ne ek run ki pari kheli. Nasim Shah 18 run banakar nabad rahe Afghanistan ki or se mujeeb aur Rahman ne sabse jyada teen wicket liye vahi Mohammed Nabi aur Rashid Khan ne do wicket liye fajal hak farooqi aur rahamat Ko ek-ek wicket mila.

Afghanistan ki pari simti Sirf 116 gendo me 

Jawab mein Afghanistan ki team 59 ran per simat gai panch ballebaaz to khata bhi nahin khol sake.  Ibrahim jadran, Rahamat Shah (kaptan), Hashmatullah Shahidi, Rashid Khan to khata khole Bina pavilian lote. Vahi Fazal hak farooqi shunya per nabad rahe rahmtulla gurbaj ne 18 run, Ikram Alikhil 4 run Mohammed Nabi satran ajmatullah Umar Jai 16 run,  Abdul Rahman 2 run aur mujeeb ur- Rahman 4 run banaa sake Pakistan ke liye Tej gendbaaz Harish Rauf ne sabse jyada panch wicket liye vahi Shahin Afridi ko do wicket mile Nasim Shah aur Shadab Khan ne ek – ek wicket liya.

Pak VS AFG ODI 2023

Asia Cup ki shuruaat 30 August se hone ja rahi hai . Is bar tournament oneday format aur hybrid model mein khela ja raha hai Pakistan aur Sri Lanka iski sah mejbani kar rahe hain. Char match Pakistan mein aur super four final sameta 9 match Sri Lanka mein khele jaenge. Tournament ka pahla match Pakistan aur Nepal ke bich Multan mein khela jaega Bharat Pakistan aur Nepal ko group A jabki Bangladesh Afghanistan aur shrilanka ko group B mein Rakha gaya hai.

Read Also :-  PM Kisan 14th Installment 2023 (Today), Check Beneficiary List, Status Direct Link on pmkisan.gov.in
For More UpdatesClick Here

Bharat Dwara Kheli jane wali Match

Bharat apna match Pakistan ke khilaf 2 September ko pallikal stadium mein khelega vahi Afghanistan apna pahla match 3 September ko Bangladesh ke khilaf lahaur mein khelega. Donon group se shirsh char teamen super for round mein pahunchengi super four round ki shuruaat 6 September se hogi jismein sabhi teamen aapas mein bhidengi is round mein shirsh per Rahane wali do teamen final mein bhidengi final 17 September ko Colombo mein khela jaega.

Pak VS AFG ODI 2023
Pak VS AFG ODI 2023

 

Pak VS AFG ODI 2023 Rate

Latest NewsClick Here
Official WebsiteClick Here
WhatsApp Group
Click Here
Home PageClick Here

Tausif Khan

I am a software developer with a vast portfolio of websites and web/mobile applications. In addition to my development work, I have ventured into the world of blogging and digital content creation. I bring a fresh perspective and creativity to my blogging endeavors, always striving for innovative ideas. My content is characterized by thorough research and a commitment to making complex topics easy to understand.

Leave a Comment